|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
kuchh adhuri kahaniya-I.....
Subah ke thik 8 baje..roj yaha se gujarta ....aur fir ek hasin etfak..samne ki khidki pe ek bahut masoom sa ..behad hasin chehra…lambe ghane baal..betartib bikhre..galo ko chhedte..sahlate..kabhi khud hi jujla jati....kabhi kuchh pila kuchh gulabi sa duppata samhalti aur kabhi julfe..uuff!!..aur ek din to kayamat ho gayi jab usne ghardan uthayi..aur wo najre hum par ruki...mano pav jamin pe nahi the..aur bike hawa mai…thoda ruka .wo muskara di..yu kaho apne hatheliyo se hansi samhalti hue..khilkhila di….hum to dil se gaye…bike start ki ..aur wo hi wo sab taraf ..traffic signal pe…bajo ki car mai..office ke desk top pe ..boss ke chair mai……din gujrte gaye..yu hi najre mili aur fasane bante gaye….bas sochta kash wo khidki se bahar aaye..adhura chand tha..bas pura didar ho jaye....dekhu kaise chalti hai kaise baat karti hai..bas yu hi sochta gujar raha tha….takra gaya ek car se bheed jama ho gayi…tab bhi wo hi dhik rahi thi …. phone kiya bhaiya aaye hospital le gaye…tab bhi wo hi thi….par sach mai wo thi..wheel chair pe….muje dekh kuchh lachar si….muskan mai wo jadoo nahi tha…. tum job hi ho sach mai kabhi nahi chaha tha ye wajah ho ki tum samne na aa sako…din gujarte gaye....hawao mai wahi jadoo tha..wo hi nam subah..w hi khidki,,sab wahi tha bas tum nahi the ....kyu? ajtak talasta hu tumko .. jindagi badli…naukari badli ..mera rashta badla.. fir bhi aata hu..tumhare es gali se shayad kabhi dikho tum…..
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|